Tommy - My first Dog

Mere 1 dog tha jisko me 2002 me dewra tall se laya tha jo mere ghar se thodi duri pe h. Uske sath 5-6 or bhi pille the but hum dono ne ek dusre ko choose kiya. Uska name Tommi tha bcz use tomato bahut pasand the, vo unhe jump karke mast khata tha. Meri mom usko apne bete ki tarah palti thi , use me bahut pyar karta tha. Vo ek Pomeranian + indian mix bread ka dog tha , isliye usme ek dog ki saari khubiya thi. Vo bahut hi active or intelligent tha. Vo hamesa mere sath sota tha. Mene 3-4 or dogs bhi paale but vo sabse favourite tha mera. Vo hamesa pure din mere sath khelta rahta tha. Usko jodhpur mere ghar pe 2005 tak rakha tha  fir ganv me ghar pe rakha bcz jab hum ganv jaate the tab yaha uski dekhbhal karne vala koi nahi tha or harr baar usko sath lana le jana possible nahi tha. 1 baar ki baat h jab meri daadi ka swargvas hua tha tab vo 5-6 km dur kahi or tha to vaha se pedal apne aap bhag ke sidha ghar aa gya akele. Vo bahut hi samajhdar dog tha or meri family ka part tha. Ganv me vo mere sath sikar pe chalta tha. Vo mast hiran or rabbits ko catch karta tha. 1 baar usne 1 peacock ko maar diya mere samne meri galti se bcz mene peacock ko tree ke upar se uda diya tha. Vo mujhe bahut bura laga tha. Ganv me vo hamesa harr jagah mere sath chalta tha. Jab uski death usi 2012 me to uncle ne humme inform kiya to puri family rone lag gyi thi. He was unforgettable part of my family. I can imagine all those moments with him and feels very good. My lovable dog Tommi 😘😘😘.

Comments